Posts

Pagal ankhon wali larki Itne mehnge khawab na dekho

Image
Pagal ankhon wali larki Itne mehnge khawab na dekho Thak jao gi Kanch se nazuk khawab tumhare Toot gaye to Pachtao gi Soch ka sara ujla kundan Zabt ki rakh mein ghul jaye ga Kachey pakkey rishton ki khushbo ka resham khul jaye ga Tum kia jano? Khawab, safar ki dhop ke taishey Khawab, adhori rat ka dozakh Khawab, khiyalon ka pachtawa Khawabon ki manzil ruswai Khawabon ka hasil tanhai Tum kia jano? Mehnge khawab kharedna hon to Ankhien bechna parti hain Ya Rishte bholna parte hain Andeshon ki rait no phanko Piyas ki aot sarab na dekho Itne mehnge khawab no dekho Thak Jao Gi

Meri nazron mein nh ho kar bhi hy her Janib to Main keh her seemt bekhar kar bhi kesi seemt naheen

Image
میری نظروں میں نہ ہو کر بھی ہے ہر جانب تو میں کہ ہر سمت بکھر کر بھی کسی سمت نہیں Meri nazron mein nh ho kar bhi hy her Janib to Main keh her seemt bekhar kar bhi kesi seemt naheen

Ye main , ye to, ye kanwal, ye fiza, ye khamoshi Ye aasman, ye mah tamam oor tamam

Image
یہ میں، یہ تو، یہ کنول، یہ فضا، یہ خاموشی یہ آسمان، یہ ماہِ تمام اور تمام Ye main , ye to, ye kanwal, ye fiza, ye khamoshi Ye aasman, ye mah tamam oor tamam

Mere chehre pe ghazal likhte Gaye Sheer kehte hue aankheen us ke

Image
میرے چہرے پہ غزل لکھتی گئیں شعر کہتی ہوئی آنکھیں اس کی Mere chehre pe ghazal likhte Gaye Sheer kehte hue aankheen us ke Parveen Shakir

Woh Mohabbat bhi tumhari thi. Woh Nafrat bhi tumhari thi

Image
Woh Mohabbat bhi tumhari thi. Woh Nafrat bhi tumhari thi. Ham apni wafa ka insaaf kis se Mange. Woh shahar bhi tumhara tha. Or woh Adaalat bhi tumhari thi

Kahi rooh ka hota hai kahi jism ka hota hai Is jahan main Ishq bhi do kism ka hota ha

Image
कहीं रूह का होता है कहीं जिस्म का होता है इस जहाँ में इश्क़ भी दो किस्म का होता है Kahi rooh ka hota hai kahi jism ka hota hai Is jahan main Ishq bhi do kism ka hota ha

Dil-e-umeed tora hai kisi ne Sahara de kay chora hai kisi ne

Image
Dil-e-umeed tora hai kisi ne Sahara de kay chora hai kisi ne Na manzil hai na manzil ka nishaan hai Kahan pe laa kay chora hai kisi ne Main un sheesha garon se poochta hoon Keh toota dil bhi jora hai kisi ne Qafas ki teeliyan rangeen kiyon hain Yahan pe sar ko phora hai kisi ne